ye kaenat tera moajaza lage hai mujhe
ye kā.enāt tirā mo.ajaza lage hai mujhe
ḳhudā nahīñ hai magar tū ḳhudā lage hai mujhe
na apne haath uThāo na iltimās karo
kabhī kisī kī batāo duā lage hai mujhe
kise ḳhabar hai ki kab chaltī saañs ruk jaa.e
ye zindagī bhī fareb-e-qazā lage hai mujhe
tire visāl ne bechain kar diyā thā bahut
tirā firāq hī dil kī davā lage hai mujhe
har ek chiiz kī āñkhoñ se ḳhuun jaarī hai
tamām ḳhalq-e-ḳhudā ġham-zada lage hai mujhe
ye nā-tavānī-e-qalb-o-jigar pe bār-e-garāñ
guzishta vaqt kā ik hādsa lage hai mujhe
ye kaenat tera moajaza lage hai mujhe
KHuda nahin hai magar tu KHuda lage hai mujhe
na apne hath uThao na iltimas karo
kabhi kisi ki batao dua lage hai mujhe
kise KHabar hai ki kab chalti sans ruk jae
ye zindagi bhi fareb-e-qaza lage hai mujhe
tere visal ne bechain kar diya tha bahut
tera firaq hi dil ki dawa lage hai mujhe
har ek chiz ki aankhon se KHun jari hai
tamam KHalq-e-KHuda gham-zada lage hai mujhe
ye na-tawani-e-qalb-o-jigar pe bar-e-garan
guzishta waqt ka ek hadsa lage hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.