ye kaenati zehanat ka daur hai bhai
ye kā.enātī zehānat kā daur hai bhaa.ī
yahāñ ḳhudā kā tasavvur kuchh aur hai bhaa.ī
sunāo kaise ho kaise haiñ chāñd par hālāt
zamīn par to vahī zulm-o-jaur hai bhaa.ī
koī palak bhī jhapaktā nahīñ tamāshe meñ
madāriyoñ kā tilismāna taur hai bhaa.ī
vatan kī sub.h se hijrat kī raat duur nahīñ
hirā se chañd qadam ġhār-e-saur hai bhaa.ī
tumheñ to izn-e-safar mil chukā mubārak ho
hamārā naam abhī zer-e-ġhaur hai bhaa.ī
jo kā.enāt kī chhat se nazar karo 'shāhid'
vahāñ se ālam-e-hairat hī aur hai bhaa.ī
ye kaenati zehanat ka daur hai bhai
yahan KHuda ka tasawwur kuchh aur hai bhai
sunao kaise ho kaise hain chand par haalat
zamin par to wahi zulm-o-jaur hai bhai
koi palak bhi jhapakta nahin tamashe mein
madariyon ka tilismana taur hai bhai
watan ki subh se hijrat ki raat dur nahin
hira se chand qadam ghaar-e-saur hai bhai
tumhein to izn-e-safar mil chuka mubarak ho
hamara nam abhi zer-e-ghaur hai bhai
jo kaenat ki chhat se nazar karo 'shahid'
wahan se aalam-e-hairat hi aur hai bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.