ye kafir but jinhen dawa hai duniya mein KHudai ka
ye kāfir but jinheñ da.avā hai duniyā meñ ḳhudā.ī kā
mileñ mahshar meñ mujh aasī ko sadqa kibriyā.ī kā
ye mujh se saḳht-jāñ par shauq ḳhanjar-āzmā.ī kā
ḳhudā-hāfiz mire qātil tirī nāzuk kalā.ī kā
na ho pahlū meñ mere dil to koī baat kyuuñ pūchhe
yahī to ik zarīya hai hasīnoñ tak rasā.ī kā
tum achchhe ġhair achchhā ġhair kī taqdīr bhī achchhī
ye āḳhir zikr kyuuñ hai merī qismat kī burā.ī kā
vo kyā so.eñge ġhāfil ho ke shab bhar mare pahlū meñ
unheñ ye fikr hai nikle koī pahlū laḌā.ī kā
hazāroñ dīda-o-dil-e-bām lākhoñ tuur se baḌh kar
karoḌoñ jalva-gāheñ shauq to ho ḳhud-numā.ī kā
qafas meñ ab kahāñ vo imbisāt-e-sub.h-e-āzādī
chaman tak lutf thā sayyād merī ḳhush-navā.ī kā
ishāre par tire chal kar ye laa.e rañg mushkil hai
abhī mohtāj hai ḳhanjar tire dast-e-hinā.ī kā
koī kyā jaa.e jannat meñ ki us ne tuul khīñchā hai
qayāmat par bhī saaya paḌ gayā roz-e-judā.ī kā
vo din bhī aa.e ham hoñ aur galiyāñ hoñ madīne kī
gadāyāna sadā ho haath meñ kaasa gadā.ī kā
banā.ī kyā burī gat mai-kade meñ bāda-noshoñ ne
'riyāz' aa.e the kal jaama pahan kar pārsā.ī kā
ye kafir but jinhen dawa hai duniya mein KHudai ka
milen mahshar mein mujh aasi ko sadqa kibriyai ka
ye mujh se saKHt-jaan par shauq KHanjar-azmai ka
KHuda-hafiz mere qatil teri nazuk kalai ka
na ho pahlu mein mere dil to koi baat kyun puchhe
yahi to ek zariya hai hasinon tak rasai ka
tum achchhe ghair achchha ghair ki taqdir bhi achchhi
ye aaKHir zikr kyun hai meri qismat ki burai ka
wo kya soenge ghafil ho ke shab bhar mare pahlu mein
unhen ye fikr hai nikle koi pahlu laDai ka
hazaron dida-o-dil-e-baam lakhon tur se baDh kar
karoDon jalwa-gahen shauq to ho KHud-numai ka
qafas mein ab kahan wo imbisat-e-subh-e-azadi
chaman tak lutf tha sayyaad meri KHush-nawai ka
ishaare par tere chal kar ye lae rang mushkil hai
abhi mohtaj hai KHanjar tere dast-e-hinai ka
koi kya jae jannat mein ki us ne tul khincha hai
qayamat par bhi saya paD gaya roz-e-judai ka
wo din bhi aae hum hon aur galiyan hon madine ki
gadayana sada ho hath mein kasa gadai ka
banai kya buri gat mai-kade mein baada-noshon ne
'riyaz' aae the kal jama pahan kar parsai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.