ye kali ghaTa uTh ke mai-KHanon ke sar aai
ye kaalī ghaTā uTh ke mai-ḳhānoñ ke sar aa.ī
gardish ye zamāne kī paimānoñ ke sar aa.ī
gulshan pe girī bijlī aur aag lagī jis dam
ye aag jo phailī to kāshānoñ ke sar aa.ī
aate hī bahāroñ ke phir chaak hue dāman
har sahrā-navardī ye dīvānoñ ke sar aa.ī
de kar bhī vafā meñ jaañ ilzām-e-jafā aayā
rusvā.ī mohabbat meñ nā-dānoñ ke sar aa.ī
maujoñ ne Duboyā hai sāhil pe safīne ko
qismat kī burā.ī thī tūfānoñ ke sar aa.ī
ai 'rāz' mujhe miltī jo bhī thī sazā miltī
kyoñ merī ḳhatā saare begānoñ ke sar aa.ī
ye kali ghaTa uTh ke mai-KHanon ke sar aai
gardish ye zamane ki paimanon ke sar aai
gulshan pe giri bijli aur aag lagi jis dam
ye aag jo phaili to kashanon ke sar aai
aate hi bahaaron ke phir chaak hue daman
har sahra-nawardi ye diwanon ke sar aai
de kar bhi wafa mein jaan ilzam-e-jafa aaya
ruswai mohabbat mein na-danon ke sar aai
maujon ne Duboya hai sahil pe safine ko
qismat ki burai thi tufanon ke sar aai
ai 'raaz' mujhe milti jo bhi thi saza milti
kyon meri KHata sare beganon ke sar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.