ye kab kaha tha nazaron se KHauf aata hai
ye kab kahā thā nazāroñ se ḳhauf aatā hai
mujhe to chāñd sitāroñ se ḳhauf aatā hai
meñ dushmanoñ ke kisī vaar se nahīñ Dartā
mujhe to apne hī yāroñ se ḳhauf aatā hai
ḳhizāñ kā jabr to siine pe rok lete haiñ
hameñ udaas bahāroñ se ḳhauf aatā hai
mile haiñ dosto baisākhiyoñ se ġham itne
mire badan ko sahāroñ se ḳhauf aatā hai
maiñ iltifāt kī ḳhandaq se duur rahtā huuñ
ta.alluqāt ke ġhāroñ se ḳhauf aatā hai
ye kab kaha tha nazaron se KHauf aata hai
mujhe to chand sitaron se KHauf aata hai
mein dushmanon ke kisi war se nahin Darta
mujhe to apne hi yaron se KHauf aata hai
KHizan ka jabr to sine pe rok lete hain
hamein udas bahaaron se KHauf aata hai
mile hain dosto baisakhiyon se gham itne
mere badan ko sahaaron se KHauf aata hai
main iltifat ki KHandaq se dur rahta hun
talluqat ke ghaaron se KHauf aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.