ye kabhi socha nahin tha aap bhi aisa karenge
ye kabhī sochā nahīñ thā aap bhī aisā kareñge
jab bichhaḌ jā.eñge ham se to hameñ rusvā kareñge
bol to dete haiñ ġhusse meñ ki tum jaao yahāñ se
baad meñ phir sochte haiñ ye huā to kyā kareñge
us ke jhagḌe par kabhī gar DaañT duuñ to boltā hai
aap se hai pyaar to phir kis se ham jhagḌā kareñge
ek chehra jo ki ham se nā kabhī bhī ban sakā hai
ek chehra vo ki jis ko umr bhar sochā kareñge
terī jānib jab raheñgī mahfiloñ kī sab nigāheñ
apnī āñkhoñ se tire chehre pe ham pardā kareñge
hai samajhnā aap ko to sher se iz.hār samjheñ
baat kahne ko bhalā ham phuul kyoñ toḌā kareñge
ye kabhi socha nahin tha aap bhi aisa karenge
jab bichhaD jaenge hum se to hamein ruswa karenge
bol to dete hain ghusse mein ki tum jao yahan se
baad mein phir sochte hain ye hua to kya karenge
us ke jhagDe par kabhi gar DanT dun to bolta hai
aap se hai pyar to phir kis se hum jhagDa karenge
ek chehra jo ki hum se na kabhi bhi ban saka hai
ek chehra wo ki jis ko umr bhar socha karenge
teri jaanib jab rahengi mahfilon ki sab nigahen
apni aankhon se tere chehre pe hum parda karenge
hai samajhna aap ko to sher se izhaar samjhen
baat kahne ko bhala hum phul kyon toDa karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.