ye kachche rang hain gahre main un ko dho nahin sakti
ye kachche rañg haiñ gahre maiñ un ko dho nahīñ saktī
sabhī kuchh jāntī huuñ is liye bhī ro nahīñ saktī
abhī tak aañkh ke har zāviye meñ hijr ke ġham haiñ
tumhāre ḳhvāb aate haiñ magar meñ so nahīñ saktī
purāne peḌ kī Tahnī huuñ par sarsabz huuñ ab tak
parinde āte-jāte haiñ maiñ būḌhī ho nahīñ saktī
mujhe vo sher kahne haiñ ki jin meñ dil dhaḌakte hoñ
maiñ naqlī phuul āñgan meñ kabhī bhī bo nahīñ saktī
bahādur maiñ banūñ jitnī magar ye bhī hai sach 'iqrā'
ki ab maiñ mar to saktī huuñ pa tujh ko kho nahīñ saktī
ye kachche rang hain gahre main un ko dho nahin sakti
sabhi kuchh jaanti hun is liye bhi ro nahin sakti
abhi tak aankh ke har zawiye mein hijr ke gham hain
tumhaare KHwab aate hain magar mein so nahin sakti
purane peD ki Tahni hun par sarsabz hun ab tak
parinde aate-jate hain main buDhi ho nahin sakti
mujhe wo sher kahne hain ki jin mein dil dhaDakte hon
main naqli phul aangan mein kabhi bhi bo nahin sakti
bahadur main banun jitni magar ye bhi hai sach 'iqra'
ki ab main mar to sakti hun pa tujh ko kho nahin sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.