ye kah ke raKHna Daliye un ke hijab mein
ye kah ke raKHna Daliye un ke hijab mein
Mufti Sadruddin Aazurda
MORE BYMufti Sadruddin Aazurda
ye kah ke raḳhna Dāliye un ke hijāb meñ
achchhe bure kā haal khulegā naqāb meñ
yārab vo ḳhvāb haq meñ mire ḳhvāb-e-marg ho
aa.e vo mast ḳhvāb agar mere ḳhvāb meñ
tahqīq ho to jānūñ ki maiñ kyā huuñ qais kyā
likkhā huā hai yuuñ to sabhī kuchh kitāb meñ
maiñ aur zauq-e-bāda-kashī le ga.iiñ mujhe
ye kam-nigāhiyāñ tirī bazm-e-sharāb meñ
haiñ donoñ misl-e-shīsha pa sāmān-e-sad-shikast
jaisā hai mere dil meñ nahīñ hai habāb meñ
ye umr aur ishq hai 'āzurdā' jā-e-sharm
hazrat ye bāteñ phabtī thiiñ ahd-e-shabāb meñ
ye kah ke raKHna Daliye un ke hijab mein
achchhe bure ka haal khulega naqab mein
yarab wo KHwab haq mein mere KHwab-e-marg ho
aae wo mast KHwab agar mere KHwab mein
tahqiq ho to jaanun ki main kya hun qais kya
likkha hua hai yun to sabhi kuchh kitab mein
main aur zauq-e-baada-kashi le gain mujhe
ye kam-nigahiyan teri bazm-e-sharab mein
hain donon misl-e-shisha pa saman-e-sad-shikast
jaisa hai mere dil mein nahin hai habab mein
ye umr aur ishq hai 'azurda' ja-e-sharm
hazrat ye baaten phabti thin ahd-e-shabab mein
- Book : Noquush (Pg. B376 E391)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.