ye kah ke raKHne Daliye un ke hijab mein
ye kah ke raKHne Daliye un ke hijab mein
Mufti Sadruddin Aazurda
MORE BYMufti Sadruddin Aazurda
ye kah ke raḳhne Dāliye un ke hijāb meñ
achchhe bure kā haal khule kyā naqāb meñ
ḳhurshīd-zār hove zamīñ de jhaTak zarā
sau āftāb haiñ tire gard-e-naqāb meñ
be-etidālyāñ mirī zarf-e-tunak se haiñ
thā naqs kuchh na jauhar-e-sahbā-e-nāb meñ
uThne meñ sub.h ke ye kahāñ sar-girāniyāñ
zāhid ne mai kā jalva ye dekhā hai ḳhvāb meñ
tahqīq ho to jānūñ ki maiñ kyā huuñ qais kyā
likkhā huā hai yuuñ to sabhī kuchh kitāb meñ
maiñ aur zauq-e-bāda-kashī le ga.iiñ mujhe
ye kam-nigāhiyāñ tirī bazm-e-sharāb meñ
imdād-e-chashm kyā ho lagī dil ko aag jab
jalne ke ba.ad ḳhuuñ nahīñ rahtā kabāb meñ
haiñ donoñ misl-e-shīsha ye sāmān-e-sad-shikast
jaisā hai mere dil meñ nahīñ hai habāb meñ
anvār-e-fikr se na huā kuchh bhī inkishāf
jitnā baḌhe ham aur baḌhī jā hijāb meñ
ye umr aur ishq hai 'āzurda' jā-e-sharm
hazrat ye bāteñ phabtī haiñ ahd-e-shabāb meñ
ye kah ke raKHne Daliye un ke hijab mein
achchhe bure ka haal khule kya naqab mein
KHurshid-zar howe zamin de jhaTak zara
sau aaftab hain tere gard-e-naqab mein
be-etidalyan meri zarf-e-tunak se hain
tha naqs kuchh na jauhar-e-sahba-e-nab mein
uThne mein subh ke ye kahan sar-giraniyan
zahid ne mai ka jalwa ye dekha hai KHwab mein
tahqiq ho to jaanun ki main kya hun qais kya
likkha hua hai yun to sabhi kuchh kitab mein
main aur zauq-e-baada-kashi le gain mujhe
ye kam-nigahiyan teri bazm-e-sharab mein
imdad-e-chashm kya ho lagi dil ko aag jab
jalne ke baad KHun nahin rahta kabab mein
hain donon misl-e-shisha ye saman-e-sad-shikast
jaisa hai mere dil mein nahin hai habab mein
anwar-e-fikr se na hua kuchh bhi inkishaf
jitna baDhe hum aur baDhi ja hijab mein
ye umr aur ishq hai 'azurda' ja-e-sharm
hazrat ye baaten phabti hain ahd-e-shabab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.