ye kaha sab se dil-e-bimar ne
ye kahā sab se dil-e-bīmār ne
ġham diye haiñ mujh ko mere yaar ne
de diyā apnā.iyat kā kuchh subūt
mere dāman se ulajh kar ḳhaar ne
haañ ḳhamīda ho ga.ī merī kamar
bojh itnā rakh diyā sarkār ne
kar diyā maġhrūr netā ko bahut
desh kī jantā kī jai-jai-kār ne
kar diyā afsurda yā phir shādmāñ
ik tire inkār ne iqrār ne
kar diyā yād-e-ḳhudā se be-niyāz
āj-kal duniyā ke kārobār ne
dushmanoñ ko bhī abhī kaise 'jamāl'
merā shaidā.ī banāyā pyaar ne
ye kaha sab se dil-e-bimar ne
gham diye hain mujh ko mere yar ne
de diya apnaiyat ka kuchh subut
mere daman se ulajh kar KHar ne
han KHamida ho gai meri kamar
bojh itna rakh diya sarkar ne
kar diya maghrur neta ko bahut
desh ki janta ki jai-jai-kar ne
kar diya afsurda ya phir shadman
ek tere inkar ne iqrar ne
kar diya yaad-e-KHuda se be-niyaz
aaj-kal duniya ke karobar ne
dushmanon ko bhi abhi kaise 'jamal'
mera shaidai banaya pyar ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.