ye kahan lagi ye kahan lagi jo qafas se shor-e-fughan uTha
ye kahan lagi ye kahan lagi jo qafas se shor-e-fughan uTha
Riyaz Khairabadi
MORE BYRiyaz Khairabadi
ye kahāñ lagī ye kahāñ lagī jo qafas se shor-e-fuġhāñ uThā
jale āshiyāne kuchh is tarah ki har ek dil se dhuāñ uThā
lagī aag mere jigar meñ yuuñ na lage kisī ke bhī ghar meñ yuuñ
na to lau uThī na chamak huī na sharar uḌe na dhuāñ uThā
koī mast-e-mai-kada aa gayā mai-e-be-ḳhudī vo pilā gayā
na sadā-e-naġhma-e-dair uThī na haram se shor-e-azāñ uThā
ga.e saath shaiḳh-e-haram ke ham na koī milā na liye qadam
na to ḳhum baḌhā na subū jhukā jo uThā to pīr-e-muġhāñ uThā
lab-e-ḳhum se nikle sadā-e-qum sar-e-dosh aise hazār ḳham
ḳham-e-āsmāñ bhī ho jis meñ gum vo siyāh abr kahāñ uThā
tujhe mai-e-farosh ḳhabar bhī hai ki maqām kaun hai kyā hai shai
ye rah-e-haram meñ dukān-e-mai tū yahāñ se apnī dukāñ uThā
ye saped-rīsh 'riyāz' hai jo banā hai bazm meñ pand-go
ise kyuuñ na abr-e-siyah kahūñ ki baras paḌā ye jahāñ uThā
ye kahan lagi ye kahan lagi jo qafas se shor-e-fughan uTha
jale aashiyane kuchh is tarah ki har ek dil se dhuan uTha
lagi aag mere jigar mein yun na lage kisi ke bhi ghar mein yun
na to lau uThi na chamak hui na sharar uDe na dhuan uTha
koi mast-e-mai-kada aa gaya mai-e-be-KHudi wo pila gaya
na sada-e-naghma-e-dair uThi na haram se shor-e-azan uTha
gae sath shaiKH-e-haram ke hum na koi mila na liye qadam
na to KHum baDha na subu jhuka jo uTha to pir-e-mughan uTha
lab-e-KHum se nikle sada-e-qum sar-e-dosh aise hazar KHam
KHam-e-asman bhi ho jis mein gum wo siyah abr kahan uTha
tujhe mai-e-farosh KHabar bhi hai ki maqam kaun hai kya hai shai
ye rah-e-haram mein dukan-e-mai tu yahan se apni dukan uTha
ye saped-rish 'riyaz' hai jo bana hai bazm mein pand-go
ise kyun na abr-e-siyah kahun ki baras paDa ye jahan uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.