ye kahani ye fasana bas isi shab bhar ka hai
ye kahānī ye fasāna bas isī shab bhar kā hai
zindagī shīshe kī hai aur aadmī patthar kā hai
dosto is daur kī sab se baḌī ḳhūbī hai ye
aadmī patthar kā dil patthar kā ghar patthar kā hai
hai vo kitnā ḳhūbsūrat har adā bhī dil-nashīñ
us kī bāteñ mīThī mīThī par asar nashtar kā hai
ek muddat ho ga.ī aa.ī na manzil aaj tak
ye karishma bhī mire yaaro mire rahbar kā hai
kab talak rakhoge ummīd-e-karam us but se tum
hai to vo miTTī kā lekin us kā dil patthar kā hai
nā-ummīdī be-yaqīnī bebasī be-chārgī
ek terā hī nahīñ ye qissa ab ghar ghar kā hai
ab guzāra ġhair-mumkin shahr meñ hairat jahāñ
zehn-o-dil patthar ke tan patthar kā ghar patthar kā hai
ye kahani ye fasana bas isi shab bhar ka hai
zindagi shishe ki hai aur aadmi patthar ka hai
dosto is daur ki sab se baDi KHubi hai ye
aadmi patthar ka dil patthar ka ghar patthar ka hai
hai wo kitna KHubsurat har ada bhi dil-nashin
us ki baaten miThi miThi par asar nashtar ka hai
ek muddat ho gai aai na manzil aaj tak
ye karishma bhi mere yaro mere rahbar ka hai
kab talak rakhoge ummid-e-karam us but se tum
hai to wo miTTi ka lekin us ka dil patthar ka hai
na-ummidi be-yaqini bebasi be-chaargi
ek tera hi nahin ye qissa ab ghar ghar ka hai
ab guzara ghair-mumkin shahr mein hairat jahan
zehn-o-dil patthar ke tan patthar ka ghar patthar ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.