ye kahkashan ye shafaq ye dhanak nazaron ki
ye kahkashāñ ye shafaq ye dhanak nazāroñ kī
karishma-kārī hai ham aise ġham ke māroñ kī
junūñ pe is se burā vaqt aur kyā hogā
ki jaan chhūT ga.ī tere jāñ-nisāroñ kī
janāb aap to le baiThe ghar ke dukhḌe ko
huzūr baat thī sahrā kī regzāroñ kī
tumhārā rang na aanā thā so nahīñ aayā
dhanak sajāte rahe laakh isti'āroñ kī
havas kī diid meñ lazzat aur is qadar lazzat
namāz-e-'ishq qazā ho ga.ī hazāroñ kī
ye kahkashan ye shafaq ye dhanak nazaron ki
karishma-kari hai hum aise gham ke maron ki
junun pe is se bura waqt aur kya hoga
ki jaan chhuT gai tere jaan-nisaron ki
janab aap to le baiThe ghar ke dukhDe ko
huzur baat thi sahra ki regzaron ki
tumhaara rang na aana tha so nahin aaya
dhanak sajate rahe lakh isti'aron ki
hawas ki did mein lazzat aur is qadar lazzat
namaz-e-'ishq qaza ho gai hazaron ki
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 57)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.