ye kahkashan ye sitare ye chandni ye bahaar
ye kahkashāñ ye sitāre ye chāñdnī ye bahār
nigāh maiñ na uThā.ūñ to sab ke sab bekār
ye māntā huuñ ki aa.ī chaman meñ fasl-e-bahār
liye hue magar apne jilau meñ barq-o-sharār
payām-e-daur-e-ḳhizāñ hai varūd-e-fasl-e-bahār
ḳhudā ke vāste ahl-e-chaman zarā hushiyār
abhī nigāh se kuchh aur kaam lene haiñ
ḳhudā kare ki na ho aap kā mujhe dīdār
abhī to kākul-e-getī meñ zehn ġhaltāñ hai
tumhārī zulf se uljheñ bhī kyoñ mire afkār
unhīñ ko bā.is-e-zulmat qarār dete ho
hai jin ke dam se munavvar fazā-e-tīra-o-tār
fusūn-e-tīrgī-e-shab hai TūTne vaalā
vo sub.h-e-nau ke nazar aa rahe haiñ kuchh āsār
ye iḳhtiyār-e-vafā hai mujhe pashemānī
tumhāre jabr-e-musalsal se maiñ nahīñ bezār
'atīq' merī pareshāniyāñ ma.āz-allāh
ki jaise ek masīhā hazār-hā bīmār
ye kahkashan ye sitare ye chandni ye bahaar
nigah main na uThaun to sab ke sab bekar
ye manta hun ki aai chaman mein fasl-e-bahaar
liye hue magar apne jilau mein barq-o-sharar
payam-e-daur-e-KHizan hai warud-e-fasl-e-bahaar
KHuda ke waste ahl-e-chaman zara hushiyar
abhi nigah se kuchh aur kaam lene hain
KHuda kare ki na ho aap ka mujhe didar
abhi to kakul-e-geti mein zehn ghaltan hai
tumhaari zulf se uljhen bhi kyon mere afkar
unhin ko bais-e-zulmat qarar dete ho
hai jin ke dam se munawwar faza-e-tira-o-tar
fusun-e-tirgi-e-shab hai TuTne wala
wo subh-e-nau ke nazar aa rahe hain kuchh aasar
ye iKHtiyar-e-wafa hai mujhe pashemani
tumhaare jabr-e-musalsal se main nahin bezar
'atiq' meri pareshaniyan maaz-allah
ki jaise ek masiha hazar-ha bimar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.