ye kahna aasan nahin hai
ye kahnā āsān nahīñ hai
dil meñ koī armān hai
himmat kī to paa.ī manzil
duniyā kā ehsān nahīñ hai
laakh tasallī dī hai tum ne
lekin itmīnān nahīñ hai
haa.e mohabbat kī majbūrī
ronā bhī āsān nahīñ hai
chhoḌ to duuñ maiñ un kā dāman
lekin ab imkān nahīñ hai
poñchh ke tum dāman se to dekho
aañsū haiñ tūfān nahīñ hai
tark-e-mohabbat tauba tauba
ye merā īmān nahīñ hai
ḳhaas tajallī DhūñD rahā huuñ
kirnoñ kī pahchān nahīñ hai
'shauq' samajhte ho jitnā tum
itnā vo nādān nahīñ hai
ye kahna aasan nahin hai
dil mein koi arman hai
himmat ki to pai manzil
duniya ka ehsan nahin hai
lakh tasalli di hai tum ne
lekin itminan nahin hai
hae mohabbat ki majburi
rona bhi aasan nahin hai
chhoD to dun main un ka daman
lekin ab imkan nahin hai
ponchh ke tum daman se to dekho
aansu hain tufan nahin hai
tark-e-mohabbat tauba tauba
ye mera iman nahin hai
KHas tajalli DhunD raha hun
kirnon ki pahchan nahin hai
'shauq' samajhte ho jitna tum
itna wo nadan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.