ye kahna tha jo duniya kah rahi hai
ye kahnā thā jo duniyā kah rahī hai
ye gañgā kab se ulTī bah rahī hai
ḳhabar hai ḳhvāb TūTegā yaqīnan
magar ik fāḳhta dukh sah rahī hai
lagī thī us kī buniyādoñ meñ dīmak
so ab dil kī imārat Dhah rahī hai
kahīñ ye ḳhushk ho jaa.e na sāthī
mire dil meñ jo nadiyā bah rahī hai
sitāra band muTThī meñ milegā
mirī taqdīr mujh se kah rahī hai
mire dil ke akele ghar meñ 'rāhat'
udāsī jaane kab se rah rahī hai
ye kahna tha jo duniya kah rahi hai
ye ganga kab se ulTi bah rahi hai
KHabar hai KHwab TuTega yaqinan
magar ek faKHta dukh sah rahi hai
lagi thi us ki buniyaadon mein dimak
so ab dil ki imarat Dhah rahi hai
kahin ye KHushk ho jae na sathi
mere dil mein jo nadiya bah rahi hai
sitara band muTThi mein milega
meri taqdir mujh se kah rahi hai
mere dil ke akele ghar mein 'rahat'
udasi jaane kab se rah rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.