ye kaisa chhir paDa karobar mein ab ke
ye kaisā chhīr paḌā kārobār meñ ab ke
sipāhī aane lage eqtidār meñ ab ke
havā charāġh jalāne kī baat kartī thī
hameñ bhī der lagī e'tibār meñ ab ke
bataur-e-dast-e-talab jo uThā.e jaate rahe
vo haath aa.e nahīñ haiñ shumār meñ ab ke
the jis kī jiit ke haamī na jis ke kār-guzār
hamārī haar huī us kī haar meñ ab ke
naved-e-sub.h na aa.ī to sab ne DhūñDā hai
vahī ḳhulūs tire shab-guzār meñ ab ke
tire ḳhayāl kī parchhā.iyāñ mahaktī thiiñ
ajiib rang rahā intizār meñ ab ke
nadī bhī jaise razā-mand thī samundar se
koī sadā na huī ābshār meñ ab ke
kal us ne baat bhī kī muskurā ke dekhā abhī
ye kaisā farq kifāyat-shi.ār meñ ab ke
Darā rahe the jo aaseb ghar meñ aane lage
bahut shigāf paḌe haiñ hisār meñ ab ke
matā-e-sabr-o-shakebā.ī saath detī rahī
na dil na dard rahā iḳhtiyār meñ ab ke
ye kaisa chhir paDa karobar mein ab ke
sipahi aane lage eqtidar mein ab ke
hawa charagh jalane ki baat karti thi
hamein bhi der lagi e'tibar mein ab ke
bataur-e-dast-e-talab jo uThae jate rahe
wo hath aae nahin hain shumar mein ab ke
the jis ki jit ke hami na jis ke kar-guzar
hamari haar hui us ki haar mein ab ke
nawed-e-subh na aai to sab ne DhunDa hai
wahi KHulus tere shab-guzar mein ab ke
tere KHayal ki parchhaiyan mahakti thin
ajib rang raha intizar mein ab ke
nadi bhi jaise raza-mand thi samundar se
koi sada na hui aabshaar mein ab ke
kal us ne baat bhi ki muskura ke dekha abhi
ye kaisa farq kifayat-shiar mein ab ke
Dara rahe the jo aaseb ghar mein aane lage
bahut shigaf paDe hain hisar mein ab ke
mata-e-sabr-o-shakebai sath deti rahi
na dil na dard raha iKHtiyar mein ab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.