ye kaisa daur ye kaisi sadi hai
ye kaisā daur ye kaisī sadī hai
jidhar dekho hujūm-e-be-dilī hai
bas itnī sī hamārī zindagī hai
saverā aa gayā raat aa rahī hai
vahī shab hai vahī bāra-darī hai
chalā aa tū ki bas terī kamī hai
charāġhoñ ne na jaane kah diyā kyā
havā dahlīz par Thahrī huī hai
sahar-dam qatl ho jā.egā sūraj
tabhī ye raat bhī sahmī huī hai
chalo is peḌ ke nazdīk dekho
mahak sī kuchh lahū kī aa rahī hai
tire chehre kī nuz.hat dekh lī kyā
shagufta kyoñ chaman kī har kalī hai
abhī sairāb ho jā.eñge ham log
vo dekho sāmne bahtī nadī hai
koī ghar chhoḌ kar hai jaane vaalā
darīche se udāsī jhāñktī hai
sitāre dam-ba-ḳhud haiñ chāñd ḳhāmosh
suhānī raat ruḳhsat ho rahī hai
jahāñ chhiḌte the ḳhushiyoñ ke tarāne
'mujīb' us ghar pe qābiz ḳhāmushī hai
ye kaisa daur ye kaisi sadi hai
jidhar dekho hujum-e-be-dili hai
bas itni si hamari zindagi hai
sawera aa gaya raat aa rahi hai
wahi shab hai wahi bara-dari hai
chala aa tu ki bas teri kami hai
charaghon ne na jaane kah diya kya
hawa dahliz par Thahri hui hai
sahar-dam qatl ho jaega suraj
tabhi ye raat bhi sahmi hui hai
chalo is peD ke nazdik dekho
mahak si kuchh lahu ki aa rahi hai
tere chehre ki nuzhat dekh li kya
shagufta kyon chaman ki har kali hai
abhi sairab ho jaenge hum log
wo dekho samne bahti nadi hai
koi ghar chhoD kar hai jaane wala
dariche se udasi jhankti hai
sitare dam-ba-KHud hain chand KHamosh
suhani raat ruKHsat ho rahi hai
jahan chhiDte the KHushiyon ke tarane
'mujib' us ghar pe qabiz KHamushi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.