ye kaisa dil hai kaisi dil-lagi hai
ye kaisā dil hai kaisī dil-lagī hai
tire hote hue bhī kuchh kamī hai
mire andar bapā hai shor itnā
mire atrāf jitnī ḳhāmushī hai
maiñ terī justujū meñ ab vahāñ huuñ
añdherā hai jahāñ na raushnī hai
vo kal shab ḳhvāb meñ aa.ī huī thī
mirī āñkhoñ se ḳhushbū aa rahī hai
nazar rakkhī huī hai tū ne mujh par
ḳhudā hai tū yā koī aadmī hai
maiñ nā-farmān huuñ to kyā burā hai
ki ye bhī to javāz-e-bandagī hai
mire chehre pe zaḳhmoñ ke nishāñ haiñ
mire chehre pe kitnī tāzgī hai
havā bhī hai badan bhī TūTtā hai
magar māchis meñ tiilī āḳhirī hai
maiñ saarī manzileñ tai kar chukā huuñ
mirī qismat meñ ab āvārgī hai
ye kaisa dil hai kaisi dil-lagi hai
tere hote hue bhi kuchh kami hai
mere andar bapa hai shor itna
mere atraf jitni KHamushi hai
main teri justuju mein ab wahan hun
andhera hai jahan na raushni hai
wo kal shab KHwab mein aai hui thi
meri aankhon se KHushbu aa rahi hai
nazar rakkhi hui hai tu ne mujh par
KHuda hai tu ya koi aadmi hai
main na-farman hun to kya bura hai
ki ye bhi to jawaz-e-bandagi hai
mere chehre pe zaKHmon ke nishan hain
mere chehre pe kitni tazgi hai
hawa bhi hai badan bhi TuTta hai
magar machis mein tili aaKHiri hai
main sari manzilen tai kar chuka hun
meri qismat mein ab aawargi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.