ye kaisa shahr ka manzar dikhai deta hai
ye kaisā shahr kā manzar dikhā.ī detā hai
har ek samt samundar dikhā.ī detā hai
sulagtī dhuup meñ aksar dikhā.ī detā hai
mujhe vo shaḳhs to patthar dikhā.ī detā hai
samajh rahā thā jise apnā ġham-gusār bahut
usī ke haath meñ ḳhanjar dikhā.ī detā hai
ḳhudā hī jaane ki rahtā hai us meñ āḳhir kaun
muhīb dasht meñ ik ghar dikhā.ī detā hai
usī ke nīche rukegā thakā huā har shaḳhs
ye peḌ aisā tanāvar dikhā.ī detā hai
ugegī fasl mohabbat kī kis tarah rahmān
diloñ kā khet hī banjar dikhā.ī detā hai
ye kaisa shahr ka manzar dikhai deta hai
har ek samt samundar dikhai deta hai
sulagti dhup mein aksar dikhai deta hai
mujhe wo shaKHs to patthar dikhai deta hai
samajh raha tha jise apna gham-gusar bahut
usi ke hath mein KHanjar dikhai deta hai
KHuda hi jaane ki rahta hai us mein aaKHir kaun
muhib dasht mein ek ghar dikhai deta hai
usi ke niche rukega thaka hua har shaKHs
ye peD aisa tanawar dikhai deta hai
ugegi fasl mohabbat ki kis tarah rahman
dilon ka khet hi banjar dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.