ye kaisa shahr ka manzar dikhai deta hai
ye kaisā shahr kā manzar dikhā.ī detā hai
har ek haath meñ patthar dikhā.ī detā hai
ye kis gunāh kī pādāsh pā rahe haiñ ham
jo gardishoñ meñ muqaddar dikhā.ī detā hai
kisī ne pyaar se kar lī hai guftugū shāyad
jo us kā chehra munavvar dikhā.ī detā hai
kabhī sharāb ko bhī jo harām kahtā thā
ab us ke haath meñ sāġhar dikhā.ī detā hai
vafā kā 'ahd nibhāne kī kyā qasam khaa.ī
vo chehra aaj gul-e-tar dikhā.ī detā hai
Dubā sakā na mire aaj ye safīne ko
to be-qarār samundar dikhā.ī detā hai
udāsiyoñ ko yahāñ kaun rakh gayā 'rizvān'
fasurda ab jo har ik ghar dikhā.ī detā hai
ye kaisa shahr ka manzar dikhai deta hai
har ek hath mein patthar dikhai deta hai
ye kis gunah ki padash pa rahe hain hum
jo gardishon mein muqaddar dikhai deta hai
kisi ne pyar se kar li hai guftugu shayad
jo us ka chehra munawwar dikhai deta hai
kabhi sharab ko bhi jo haram kahta tha
ab us ke hath mein saghar dikhai deta hai
wafa ka 'ahd nibhane ki kya qasam khai
wo chehra aaj gul-e-tar dikhai deta hai
Duba saka na mere aaj ye safine ko
to be-qarar samundar dikhai deta hai
udasiyon ko yahan kaun rakh gaya 'rizwan'
fasurda ab jo har ek ghar dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.