ye kaise gham nikhaara ja raha hai
ye kaise ġham nikhārā jā rahā hai
faqat ab din guzārā jā rahā hai
baḌā hī pyaar karte haiñ vo mujh se
badan ye kah sañvārā jā rahā hai
kabhī aapas kabhī ghar aur kabhī tum
mujhe kushtoñ meñ maarā jā rahā hai
zarā sā kaañp uTThe Thahre parvat
ye kis ko yuuñ pukārā jā rahā hai
ġhazab lāshoñ pe karte raqs haiñ jo
vo kahte haiñ mudārā jā rahā hai
na.e paude sabhī ko ropne haiñ
purānā dasht vaarā jā rahā hai
huā dīdār marte vaqt hamdam
tirā 'pūnam' ḳhasāra jā rahā hai
ye kaise gham nikhaara ja raha hai
faqat ab din guzara ja raha hai
baDa hi pyar karte hain wo mujh se
badan ye kah sanwara ja raha hai
kabhi aapas kabhi ghar aur kabhi tum
mujhe kushton mein mara ja raha hai
zara sa kanp uTThe Thahre parwat
ye kis ko yun pukara ja raha hai
ghazab lashon pe karte raqs hain jo
wo kahte hain mudara ja raha hai
nae paude sabhi ko ropne hain
purana dasht wara ja raha hai
hua didar marte waqt hamdam
tera 'punam' KHasara ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.