ye kaise kah dun ki kuchh tum se wasta hi nahin
ye kaise kah duuñ ki kuchh tum se vāsta hī nahīñ
bichhaḌ ke tum se kahīñ aur dil lagā hī nahīñ
nazar milā ke kiyā be-niyāz-e-hosh mujhe
tumhārī nazroñ meñ jaise ki kuchh huā hī nahīñ
mujhe satā.eñgī kyā gardisheñ zamāne kī
maiñ kal ke baare meñ ai dost sochtā hī nahīñ
ye ahl-e-bazm mujhe dekhte haiñ hairat se
maiñ jis ko dekh rahā huuñ vo dekhtā hī nahīñ
sukūn-e-qalb-o-jigar luuT le gayā 'dānish'
ek aisā shaḳhs ki jis ko maiñ jāntā hī nahīñ
ye kaise kah dun ki kuchh tum se wasta hi nahin
bichhaD ke tum se kahin aur dil laga hi nahin
nazar mila ke kiya be-niyaz-e-hosh mujhe
tumhaari nazron mein jaise ki kuchh hua hi nahin
mujhe sataengi kya gardishen zamane ki
main kal ke bare mein ai dost sochta hi nahin
ye ahl-e-bazm mujhe dekhte hain hairat se
main jis ko dekh raha hun wo dekhta hi nahin
sukun-e-qalb-o-jigar luT le gaya 'danish'
ek aisa shaKHs ki jis ko main jaanta hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.