ye kaise moD pe haalat aaj lae mujhe
ye kaise moḌ pe hālāt aaj laa.e mujhe
ki mere apne bhī lagte haiñ ab parā.e mujhe
koī to baat hai maiñ sahmā sahmā rahtā huuñ
koī ḳhayāl hai jo har ghaḌī satā.e mujhe
ḳhatā.eñ ḳhud karūñ ilzām duuñ muqaddar ko
ajiib baat hai phir bhī na sharm aa.e mujhe
maiñ jāntā huuñ ye manzil bhī aur rasta bhī
magar tarīq-e-safar ajnabī banā.e mujhe
na jaane dil meñ ye kyoñ aag sī lagātī hai
na jaane kaun sī shai har ghaḌī satā.e mujhe
maiñ us kī gard-e-safar ban ke us ke saath rahūñ
kahāñ nasīb ki vo ham-safar banā.e mujhe
ajiib baat hai maiñ ḳhud se duur rahtā huuñ
koī ho aisā jo mere qarīb laa.e mujhe
ye kaise moD pe haalat aaj lae mujhe
ki mere apne bhi lagte hain ab parae mujhe
koi to baat hai main sahma sahma rahta hun
koi KHayal hai jo har ghaDi satae mujhe
KHataen KHud karun ilzam dun muqaddar ko
ajib baat hai phir bhi na sharm aae mujhe
main jaanta hun ye manzil bhi aur rasta bhi
magar tariq-e-safar ajnabi banae mujhe
na jaane dil mein ye kyon aag si lagati hai
na jaane kaun si shai har ghaDi satae mujhe
main us ki gard-e-safar ban ke us ke sath rahun
kahan nasib ki wo ham-safar banae mujhe
ajib baat hai main KHud se dur rahta hun
koi ho aisa jo mere qarib lae mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.