ye kaise sanahe ab pesh aane lag gae hain
ye kaise sānahe ab pesh aane lag ga.e haiñ
tere āġhosh meñ ham chhaT-paTāne lag ga.e haiñ
bahut mumkin hai koī tiir ham ko aa lagegā
ham aise log jo panchhī uḌāne lag ga.e haiñ
hamāre bin bhalā tanhā.ī ghar meñ kyā hī kartī
use bhī saath hī office meñ laane lag ga.e haiñ
badan par shab kī bārish ke chhīñTe paḌ ga.e the
parā.ī dhuup meñ un ko sukhāne lag ga.e haiñ
havā ke ek hī jhoñke meñ ye phal gir paḌeñge
ye būḌhe peḌ ke kañdhe jhukāne lag ga.e haiñ
nazar ke chauk pe bārish jhamā-jham gir rahī hai
to dil ke room meñ gaane purāne lag ga.e haiñ
ye kaise sanahe ab pesh aane lag gae hain
tere aaghosh mein hum chhaT-paTane lag gae hain
bahut mumkin hai koi tir hum ko aa lagega
hum aise log jo panchhi uDane lag gae hain
hamare bin bhala tanhai ghar mein kya hi karti
use bhi sath hi office mein lane lag gae hain
badan par shab ki barish ke chhinTe paD gae the
parai dhup mein un ko sukhane lag gae hain
hawa ke ek hi jhonke mein ye phal gir paDenge
ye buDhe peD ke kandhe jhukane lag gae hain
nazar ke chauk pe barish jhama-jham gir rahi hai
to dil ke room mein gane purane lag gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.