ye kaisi aag abhi ai sham tere dil mein baqi hai
Interesting Fact
Mushaira Allahabad- 19 July 1924
ye kaisī aag abhī ai sham' tere dil meñ baaqī hai
koī parvāna jal marne ko kyā mahfil meñ baaqī hai
hazāroñ uTh ga.e duniyā se apnī jaan de de kar
magar ik bhiiḌ phir bhī kūcha-e-qātil meñ baaqī hai
hue vo mutma.in kyuuñ sirf mere dam nikalne par
abhī to ek duniyā-e-tamannā dil meñ baaqī hai
huā thā ġharq bahr-e-ishq is andāz se koī
ki naqsha Dūbne kā dīda-e-sāhil meñ baaqī hai
qazā se koī ye kah de ki mushtāq-e-shahādat huuñ
abhī ik marne vaalā kūcha-e-qātil meñ baaqī hai
kahāñ fursat hujūm-e-ranj-o-ġham se ham jo ye jāñcheñ
ki niklī kyā tamannā kyā tamannā dil meñ baaqī hai
abhī se apnā dil thāme hue kyuuñ log baiThe haiñ
abhī to hashr uThne ko tirī mahfil meñ baaqī hai
vahāñ the jam' jitne marne vaale mar ga.e vo sab
qazā le-de ke bas ab kūcha-e-qātil meñ baaqī hai
abhī se tū ne qātil myaan meñ talvār kyuuñ rakh lī
abhī to jaan thoḌī sī tan-e-'bismil' meñ baaqī hai
ye kaisi aag abhi ai sham' tere dil mein baqi hai
koi parwana jal marne ko kya mahfil mein baqi hai
hazaron uTh gae duniya se apni jaan de de kar
magar ek bhiD phir bhi kucha-e-qatil mein baqi hai
hue wo mutmain kyun sirf mere dam nikalne par
abhi to ek duniya-e-tamanna dil mein baqi hai
hua tha gharq bahr-e-ishq is andaz se koi
ki naqsha Dubne ka dida-e-sahil mein baqi hai
qaza se koi ye kah de ki mushtaq-e-shahadat hun
abhi ek marne wala kucha-e-qatil mein baqi hai
kahan fursat hujum-e-ranj-o-gham se hum jo ye jaanchen
ki nikli kya tamanna kya tamanna dil mein baqi hai
abhi se apna dil thame hue kyun log baiThe hain
abhi to hashr uThne ko teri mahfil mein baqi hai
wahan the jam' jitne marne wale mar gae wo sab
qaza le-de ke bas ab kucha-e-qatil mein baqi hai
abhi se tu ne qatil myan mein talwar kyun rakh li
abhi to jaan thoDi si tan-e-'bismil' mein baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.