ye kaisi aaya-e-moajiz-numa nikal aai
ye kaisī āya-e-mo.ajiz-numā nikal aa.ī
havā-e-dasht se bād-e-sabā nikal aa.ī
bichhā huā thā nigāhoñ meñ farsh-e-istisqā
zamīn-e-dil pe nabī kī duā nikal aa.ī
koī dishā nazar aatī nahīñ thī tā-ba-falak
zamīñ se tā-ba-falak ik dishā nikal aa.ī
pahāḌ ho ga.ī tanhā.ī, aur phir ik roz
usī pahāḌ se ġhār-e-hirā nikal aa.ī
ginī-chunī huī ghaḌiyoñ meñ ek sā.at-e-sabz
kanār-e-dahr se bhī māvarā nikal aa.ī
ye kaisi aaya-e-moajiz-numa nikal aai
hawa-e-dasht se baad-e-saba nikal aai
bichha hua tha nigahon mein farsh-e-istisqa
zamin-e-dil pe nabi ki dua nikal aai
koi disha nazar aati nahin thi ta-ba-falak
zamin se ta-ba-falak ek disha nikal aai
pahaD ho gai tanhai, aur phir ek roz
usi pahaD se ghaar-e-hira nikal aai
gini-chuni hui ghaDiyon mein ek saat-e-sabz
kanar-e-dahr se bhi mawara nikal aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.