ye kaisi be-qarari ho rahi hai
ye kaisī be-qarārī ho rahī hai
tabī.at aaj bhārī ho rahī hai
vafāoñ ke parinde uḌ chale haiñ
diloñ meñ barf-bārī ho rahī hai
mirī ma.asūm bastī jal na jaa.e
havā sho.ale meñ yaarī ho rahī hai
ye nasl-o-zāt kī firqa-parastī
ajab taqsīm-kārī ho rahī hai
muḳhālif ghaat meñ hai sarhadoñ par
vatan meñ faujdārī ho rahī hai
'sharāfat' zindagī unvāñ thā jis kā
kahānī ḳhatm saarī ho rahī hai
ye kaisi be-qarari ho rahi hai
tabiat aaj bhaari ho rahi hai
wafaon ke parinde uD chale hain
dilon mein barf-bari ho rahi hai
meri masum basti jal na jae
hawa shoale mein yari ho rahi hai
ye nasl-o-zat ki firqa-parasti
ajab taqsim-kari ho rahi hai
muKHalif ghat mein hai sarhadon par
watan mein faujdari ho rahi hai
'sharafat' zindagi unwan tha jis ka
kahani KHatm sari ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.