ye kaisi fasl-e-bahaar aai gulon ka sina figar sa hai
ye kaisī fasl-e-bahār aa.ī guloñ kā siina figār sā hai
har ik nazar hai sukūñ se aarī har ek dil be-qarār sā hai
chaman ke jo pāsbāñ haiñ socheñ isī ko kahte haiñ kyā gulistāñ
shafaq meñ shāmil hai ġham kī surḳhī ufuq pe ḳhūn-e-bahār sā hai
harīf-e-mahkūmī-o-ġhulāmī huā hai mazdūr kā lahū phir
har ek jānib hai tez āñdhī har ek jānib ġhubār sā hai
urūj-e-ilm-o-hunar kī manzil karegā tai kis tarah mirā dil
hai pā-e-idrāk meñ tazalzul shu.ūr siina figār sā hai
ḳhayāl kī rahguzar to dekho fareb-e-zauq-e-nazar to dekho
har ek aahaT pe chauñktā hai vajūd-e-dil intizār sā hai
kisī kī aamad kā sun ke muzhda nasīm-e-ummīd muskurā.ī
har ek lamha hai kaif-āvar nigāh-o-dil meñ ḳhumār sā hai
udaas tārīk ḳhalvatoñ meñ hai aaj 'nāshād' kis kī aamad
nigāh meñ bijliyāñ farozāñ fazāoñ meñ intishār sā hai
ye kaisi fasl-e-bahaar aai gulon ka sina figar sa hai
har ek nazar hai sukun se aari har ek dil be-qarar sa hai
chaman ke jo pasban hain sochen isi ko kahte hain kya gulistan
shafaq mein shamil hai gham ki surKHi ufuq pe KHun-e-bahaar sa hai
harif-e-mahkumi-o-ghulami hua hai mazdur ka lahu phir
har ek jaanib hai tez aandhi har ek jaanib ghubar sa hai
uruj-e-ilm-o-hunar ki manzil karega tai kis tarah mera dil
hai pa-e-idrak mein tazalzul shuur sina figar sa hai
KHayal ki rahguzar to dekho fareb-e-zauq-e-nazar to dekho
har ek aahaT pe chaunkta hai wajud-e-dil intizar sa hai
kisi ki aamad ka sun ke muzhda nasim-e-ummid muskurai
har ek lamha hai kaif-awar nigah-o-dil mein KHumar sa hai
udas tarik KHalwaton mein hai aaj 'nashad' kis ki aamad
nigah mein bijliyan farozan fazaon mein intishaar sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.