ye kaisi hawa hai ye kaisi faza hai
ye kaisī havā hai ye kaisī fazā hai
zamāne kā kyoñ rang uḌtā huā hai
zabāñ par hai pahrā diloñ par bhī pahrā
yahāñ ab to jiinā hī bhārī sazā hai
hai vā chashm-e-tar intizār-e-sahar meñ
ki sūraj ḳhushī kā abhī tak chhupā hai
jo aañsū bhī Tapkā ho pichhle pahar meñ
is aañsū kā har qatra dil kī davā hai
jo isyāñ ke dariyā meñ Duubā huā ho
vo taa.at ke sāhil pe aa.e duā hai
ye kaisi hawa hai ye kaisi faza hai
zamane ka kyon rang uDta hua hai
zaban par hai pahra dilon par bhi pahra
yahan ab to jina hi bhaari saza hai
hai wa chashm-e-tar intizar-e-sahar mein
ki suraj KHushi ka abhi tak chhupa hai
jo aansu bhi Tapka ho pichhle pahar mein
is aansu ka har qatra dil ki dawa hai
jo isyan ke dariya mein Duba hua ho
wo taat ke sahil pe aae dua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.