ye kaisi hurmat-e-gham hijr ne faraham ki
ye kaisī hurmat-e-ġham hijr ne farāham kī
darūn-e-qalb hai taarī fazā moharram kī
ḳhushī harām hai tā-āḳhir-e-nafas mujh par
na kar sakā maiñ hifāzat agar tire ġham kī
zamīn-e-dil pe ragaḌtā hai eḌiyāñ tirā ġham
ba-chashm-e-ḳhushk hikāyat likhī hai zamzam kī
mirā vujūd musallā thā raat bhar maiñ ne
nafas kī āmad-o-shud se namāz qaa.em kī
ka.ī dinoñ se bahut kaam thā so daftar meñ
tire ḳhayāl kī lau maiñ ne thoḌī maddham kī
ye kaisi hurmat-e-gham hijr ne faraham ki
darun-e-qalb hai tari faza moharram ki
KHushi haram hai ta-aKHir-e-nafas mujh par
na kar saka main hifazat agar tere gham ki
zamin-e-dil pe ragaDta hai eDiyan tera gham
ba-chashm-e-KHushk hikayat likhi hai zamzam ki
mera wujud musalla tha raat bhar main ne
nafas ki aamad-o-shud se namaz qaem ki
kai dinon se bahut kaam tha so daftar mein
tere KHayal ki lau main ne thoDi maddham ki
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 78)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.