ye kaisi raat hai jis ka sitara koi nahin
ye kaisī raat hai jis kā sitāra koī nahīñ
tumhāre hote hue bhī hamārā koī nahīñ
dar-e-vajūd pe dastak huī to pūchhā kaun
phir ek shaḳhs darūñ se pukārā koī nahīñ
vo chand lamhe jo tum sauñp kar chale ga.e the
vahīñ pe rakkhe hue haiñ guzārā koī nahīñ
tirī nigāh na.e rāste batātī hai
hamāre vāste lekin ishāra koī nahīñ
ye kaisi raat hai jis ka sitara koi nahin
tumhaare hote hue bhi hamara koi nahin
dar-e-wajud pe dastak hui to puchha kaun
phir ek shaKHs darun se pukara koi nahin
wo chand lamhe jo tum saunp kar chale gae the
wahin pe rakkhe hue hain guzara koi nahin
teri nigah nae raste batati hai
hamare waste lekin ishaara koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.