ye kaisi shab ke dhundalkon ke aas-pas hai sham
ye kaisī shab ke dhuñdalkoñ ke ās-pās hai shaam
bahut udaas hai dekho bahut udaas hai shaam
humak rahī hai taġhayyur kī tund shāḳhoñ par
shafaq ke phuul se lipTī huī sī baas hai shaam
churā rahī haiñ ḳhalā.eñ jo us kī god kā nuur
siyāh raat ke Dar se rahīn-e-yās hai shaam
ulajh ga.ī hai ufuq meñ shafaq kī añgḌā.ī
umaD rahe haiñ dhuñdalke to bad-havās hai shaam
ye surḳhiyoñ meñ siyāhī ke reñgte Dore
dalīl-e-ḳhauf hai andāza-e-hirās hai shaam
ye lamhe lamhe ke sāñche meñ Dhaltī jaatī hai
zarūr ramz-e-mashiyyat se rū-shanās hai shaam
tapish ko ġham kī bujhā.e hai ashk-e-shabnam se
kisī ġharīb kī TuuTī huī sī aas hai shaam
vahī fareb-e-tamaddun hai phir nasīb ke naam
kisī kā vaqt-e-pareshāñ kisī ko raas hai shaam
guzar to jā.egī lekin ġham-e-sahar ban kar
shab-e-darāz kī ik muḳhtasar asaas hai shaam
palaT ke dekh zarā zāviye badal 'rāhī'
tirī nigāh pe mabnī tirā qayās hai shaam
ye kaisi shab ke dhundalkon ke aas-pas hai sham
bahut udas hai dekho bahut udas hai sham
humak rahi hai taghayyur ki tund shaKHon par
shafaq ke phul se lipTi hui si bas hai sham
chura rahi hain KHalaen jo us ki god ka nur
siyah raat ke Dar se rahin-e-yas hai sham
ulajh gai hai ufuq mein shafaq ki angDai
umaD rahe hain dhundalke to bad-hawas hai sham
ye surKHiyon mein siyahi ke rengte Dore
dalil-e-KHauf hai andaza-e-hiras hai sham
ye lamhe lamhe ke sanche mein Dhalti jati hai
zarur ramz-e-mashiyyat se ru-shanas hai sham
tapish ko gham ki bujhae hai ashk-e-shabnam se
kisi gharib ki TuTi hui si aas hai sham
wahi fareb-e-tamaddun hai phir nasib ke nam
kisi ka waqt-e-pareshan kisi ko ras hai sham
guzar to jaegi lekin gham-e-sahar ban kar
shab-e-daraaz ki ek muKHtasar asas hai sham
palaT ke dekh zara zawiye badal 'rahi'
teri nigah pe mabni tera qayas hai sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.