ye kaisi subh hui kaisa ye sawera hai
ye kaisī sub.h huī kaisā ye saverā hai
hamāre ghar meñ abhī tak vahī añdherā hai
na jaane ab ke baras hāriyoñ pe kyā guzre
pakī hai fasl to bādal bahut ghanerā hai
kaTe shajar ko na.ī rut kā haal kyā ma.alūm
ki vāsta to yahāñ mausamoñ se merā hai
parind kyuuñ na uḌeñ us daraḳht se 'zulfī'
kamān ban ga.iiñ shāḳheñ jahāñ baserā hai
ye kaisi subh hui kaisa ye sawera hai
hamare ghar mein abhi tak wahi andhera hai
na jaane ab ke baras haariyon pe kya guzre
paki hai fasl to baadal bahut ghanera hai
kaTe shajar ko nai rut ka haal kya malum
ki wasta to yahan mausamon se mera hai
parind kyun na uDen us daraKHt se 'zulfi'
kaman ban gain shaKHen jahan basera hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 242)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.