Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kamra aur ye gard-o-ghubar us ka hai

Yasmeen Habeeb

ye kamra aur ye gard-o-ghubar us ka hai

Yasmeen Habeeb

MORE BYYasmeen Habeeb

    ye kamra aur ye gard-o-ġhubār us hai

    vo jis ne aanā nahīñ intizār us hai

    rukī huuñ zaḳhm ke raqbe meñ apnī marzī se

    ye jāntī huuñ ki qurb-o-javār us hai

    kisī ḳhasāre ke saude meñ haath aayā thā

    so ek qīmtī shai meñ shumār us hai

    faqat firāq to itnā nasha nahīñ rakhtā

    maiñ laḌkhaḌāī huuñ jis se ḳhumār us hai

    ḳharīd saktī thī so maiñ ḳharīd laa.ī huuñ

    vo mere paas hai chāhe hazār us hai

    darīda-jāñ huuñ darīda-libāsiyāñ bhī haiñ

    magar ye kam to nahīñ taar taar us hai

    maiñ saiñt saiñt ke kitnā sameT kar rakhkhūñ

    ki kā.enāt bharā intishār us hai

    na jaane boltī rahtī huuñ niiñd meñ kyā kyā

    jo naam suntī huuñ maiñ baar baar us hai

    maiñ ghar se jā.ūñ to taalā lagā ke jaatī huuñ

    kuchh us shohrateñ kuchh e'tibār us hai

    ye kamra aur ye gard-o-ghubar us ka hai

    wo jis ne aana nahin intizar us ka hai

    ruki hun zaKHm ke raqbe mein apni marzi se

    ye jaanti hun ki qurb-o-jawar us ka hai

    kisi KHasare ke saude mein hath aaya tha

    so ek qimti shai mein shumar us ka hai

    faqat firaq to itna nasha nahin rakhta

    main laDkhaDai hun jis se KHumar us ka hai

    KHarid sakti thi so main KHarid lai hun

    wo mere pas hai chahe hazar us ka hai

    darida-jaan hun darida-libasiyan bhi hain

    magar ye kam to nahin tar tar us ka hai

    main saint saint ke kitna sameT kar rakhkhun

    ki kaenat bhara intishaar us ka hai

    na jaane bolti rahti hun nind mein kya kya

    jo nam sunti hun main bar bar us ka hai

    main ghar se jaun to tala laga ke jati hun

    kuchh us ki shohraten kuchh e'tibar us ka hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now