ye kamra kyon paraganda paDa hai
ye kamra kyoñ parāganda paḌā hai
makīñ par kaun sā daura paḌā hai
dikhā.ī kyoñ nahīñ detī sadāqat
ye kaisā aañkh par parda paḌā hai
nasab se kuchh nahīñ hotā hai pyāre
sabhī ke paas ik shajara paḌā hai
gayā hai chhoḌ kar koī udāsī
pas-e-ā.īna ik chehra paḌā hai
mohabbat ho ga.ī hai be-irāda
gale yuuñ jaan kā ḳhatra paḌā hai
banā hai jis ke hāthoñ se samundar
tan-e-tanhā vahī qatra paḌā hai
masīhā kah rahī thī jis ko duniyā
vo dekho aaj ḳhud murda paḌā hai
ḳhudāyā rahm 'as.ad' kī ḳhatā par
tire dar par kiye sajda paḌā hai
ye kamra kyon paraganda paDa hai
makin par kaun sa daura paDa hai
dikhai kyon nahin deti sadaqat
ye kaisa aankh par parda paDa hai
nasab se kuchh nahin hota hai pyare
sabhi ke pas ek shajara paDa hai
gaya hai chhoD kar koi udasi
pas-e-aina ek chehra paDa hai
mohabbat ho gai hai be-irada
gale yun jaan ka KHatra paDa hai
bana hai jis ke hathon se samundar
tan-e-tanha wahi qatra paDa hai
masiha kah rahi thi jis ko duniya
wo dekho aaj KHud murda paDa hai
KHudaya rahm 'asad' ki KHata par
tere dar par kiye sajda paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.