ye karam darwesh ne ek pal mein mujh par kar diya
ye karam darvesh ne ik pal meñ mujh par kar diyā
multafit nazroñ se dekhā aur tavangar kar diyā
ḳhush-mizājī to mirī fitrat meñ shāmil thī magar
us kī bātoñ ne mujhe aape se bāhar kar diyā
ab to hasrat se mujhe takne lagīñ ūñchā.iyāñ
ḳhāksārī ne mirī mujh ko qad-āvar kar diyā
ab to bas qismat meñ likkhī hai bayābānoñ kī ḳhaak
justujū ne us kī mujh ko ghar se be-ghar kar diyā
ġhair kā shikva gila kis se karūñ ab maiñ 'asar'
mere apnoñ hī ne merā jiinā dūbhar kar diyā
ye karam darwesh ne ek pal mein mujh par kar diya
multafit nazron se dekha aur tawangar kar diya
KHush-mizaji to meri fitrat mein shamil thi magar
us ki baaton ne mujhe aape se bahar kar diya
ab to hasrat se mujhe takne lagin unchaiyan
KHaksari ne meri mujh ko qad-awar kar diya
ab to bas qismat mein likkhi hai bayabanon ki KHak
justuju ne us ki mujh ko ghar se be-ghar kar diya
ghair ka shikwa gila kis se karun ab main 'asar'
mere apnon hi ne mera jina dubhar kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.