Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kaun aata hai tanhaiyon mein jam liye

Makhdoom Mohiuddin

ye kaun aata hai tanhaiyon mein jam liye

Makhdoom Mohiuddin

MORE BYMakhdoom Mohiuddin

    ye kaun aatā hai tanhā.iyoñ meñ jaam liye

    jilau meñ chāñdnī rātoñ ehtimām liye

    chaTak rahī hai kisī yaad kalī dil meñ

    nazar meñ raqs-e-bahārāñ sub.h-o-shām liye

    hujūm-e-bādā-o-gul meñ hujūm-e-yārāñ meñ

    kisī nigāh ne jhuk kar mire salām liye

    kisī ḳhayāl ḳhushbū kisī badan mahak

    dar-e-qafas pe khaḌī hai sabā payām liye

    mahak mahak ke jagātī rahī nasīm-e-sahar

    laboñ pe yār-e-masīhā-nafas naam liye

    bajā rahā thā kahīñ duur koī shahnā.ī

    uThā huuñ āñkhoñ meñ ik ḳhvāb-e-nā-tamām liye

    ye kaun aata hai tanhaiyon mein jam liye

    jilau mein chandni raaton ka ehtimam liye

    chaTak rahi hai kisi yaad ki kali dil mein

    nazar mein raqs-e-bahaaran ki subh-o-sham liye

    hujum-e-baada-o-gul mein hujum-e-yaran mein

    kisi nigah ne jhuk kar mere salam liye

    kisi KHayal ki KHushbu kisi badan ki mahak

    dar-e-qafas pe khaDi hai saba payam liye

    mahak mahak ke jagati rahi nasim-e-sahar

    labon pe yar-e-masiha-nafas ka nam liye

    baja raha tha kahin dur koi shahnai

    uTha hun aankhon mein ek KHwab-e-na-tamam liye

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abida Parveen

    Abida Parveen

    Jagjit Singh

    Jagjit Singh

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ye kaun aata hai tanhaiyon mein jam liye Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now