ye kaun apne andar bedar ho gaya hai
ye kaun apne andar bedār ho gayā hai
merī anā ke aage dīvār ho gayā hai
ehsās mere ġham kā iz.hār ho gayā hai
tarkash kā tiir phir se be-kār ho gayā hai
din-rāt kī kashākash bezār kar ga.ī to
laḌne ko zindagī se tayyār ho gayā hai
patthar kī be-hisī hai har dāstān dil kī
tahzīb kā anokhā me.aar ho gayā hai
āñkheñ batā rahī haiñ ik ek baat dil kī
duniyā kī chāhatoñ kā āzār ho gayā hai
apnī haqīqatoñ se chehroñ ko kyā chhupā.eñ
ā.īna aap apnā kirdār ho gayā hai
ye kaun apne andar bedar ho gaya hai
meri ana ke aage diwar ho gaya hai
ehsas mere gham ka izhaar ho gaya hai
tarkash ka tir phir se be-kar ho gaya hai
din-raat ki kashakash bezar kar gai to
laDne ko zindagi se tayyar ho gaya hai
patthar ki be-hisi hai har dastan dil ki
tahzib ka anokha mear ho gaya hai
aankhen bata rahi hain ek ek baat dil ki
duniya ki chahaton ka aazar ho gaya hai
apni haqiqaton se chehron ko kya chhupaen
aaina aap apna kirdar ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.