ye kaun sa maqam hai ai josh-e-be-KHudi
ye kaun sā maqām hai ai josh-e-be-ḳhudī
rasta batā rahā huuñ har ik rahnumā ko maiñ
donoñ hī kāmyāb hue haiñ talāsh maiñ
zāt-e-ḳhudā milī mujhe zāt-e-ḳhudā ko maiñ
miTTī uThā ke dekhtā huuñ rāh-e-shauq kī
bhūlā nahīñ huuñ josh-e-talab meñ fanā ko maiñ
hastī fanā huī to haqīqat ye khul ga.ī
maiñ ḳhud baqā huuñ kis liye DhūñDūñ baqā ko maiñ
kyūñkar maiñ is ko dushman-e-hastī qarār duuñ
paatā huuñ mudda.ā kā zarīya qazā ko maiñ
kyuuñ us kī justujū kā ho saudā mujhe 'ratan'
mujh se agar judā ho to DhūñDūñ ḳhudā ko maiñ
ye kaun sa maqam hai ai josh-e-be-KHudi
rasta bata raha hun har ek rahnuma ko main
donon hi kaamyab hue hain talash main
zat-e-KHuda mili mujhe zat-e-KHuda ko main
miTTi uTha ke dekhta hun rah-e-shauq ki
bhula nahin hun josh-e-talab mein fana ko main
hasti fana hui to haqiqat ye khul gai
main KHud baqa hun kis liye DhunDun baqa ko main
kyunkar main is ko dushman-e-hasti qarar dun
pata hun muddaa ka zariya qaza ko main
kyun us ki justuju ka ho sauda mujhe 'ratan'
mujh se agar juda ho to DhunDun KHuda ko main
- Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 138)
- Author : Sahir Hoshiyarpuri
- Publication : Haryana Urdu Acadami (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.