ye khai masale ka hal nahin hai
ye khaa.ī mas.ale kā hal nahīñ hai
judā.ī mas.ale kā hal nahīñ hai
zamīnī mas.aloñ kā hal nikālo
khudā.ī mas.ale kā hal nahīñ hai
laḌā.ī hī hamārā mas.ala hai
laḌā.ī mas.ale kā hal nahīñ hai
tū phir se aa gayā hai muñh uThā ke
o bhaa.ī mas.ale kā hal nahīñ hai
unheñ duniyā meñ jiinā bhī sikhāo
rihā.ī mas.ale kā hal nahīñ hai
in īñToñ ko samundar-burd kar do
tarā.ī mas.ale kā hal nahīñ hai
lagāo soch kī gardan ko phandā
ye tie mas.ale kā hal nahīñ hai
ye khai masale ka hal nahin hai
judai masale ka hal nahin hai
zamini masalon ka hal nikalo
khudai masale ka hal nahin hai
laDai hi hamara masala hai
laDai masale ka hal nahin hai
tu phir se aa gaya hai munh uTha ke
o bhai masale ka hal nahin hai
unhen duniya mein jina bhi sikhao
rihai masale ka hal nahin hai
in inTon ko samundar-burd kar do
tarai masale ka hal nahin hai
lagao soch ki gardan ko phanda
ye tie masale ka hal nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.