ye KHabar aai hai aaj ek murshid-e-akmal ke pas
ye ḳhabar aa.ī hai aaj ik murshid-e-akmal ke paas
un ko dhamkāyā kisī ne railway-signal ke paas
husn-e-āvāra kā ai hamdam bhalā kyā e'tibār
aaj bhaTnāgar ke bas meñ hai to kal mittal ke paas
un kī vahshat se ye zāhir ho rahā hai ḳhud-ba-ḳhud
ye usī mauza.a meñ rahte haiñ jo hai mañgal ke paas
bāġhbāñ kī ab tavajjoh hai gulistāñ kī taraf
paude baḌh ke ḳhud lagā.e haiñ ka.ī kaT.hal ke paas
uTh gayā bazm-e-tarab se vo raqīb-e-rū-siyāh
rafta rafta haath jab pahuñchā mirā chappal ke paas
razm-gah meñ un se nazreñ laḌ rahī haiñ baar baar
ho rahā hai ek dañgal aur usī dañgal ke paas
log un kī bazm meñ rah kar bhī haiñ mahrūm-e-dīd
jāñ-ba-lab haiñ pyaas se baiThe hue haiñ nal ke paas
dekhiye ye bāda-e-rañgīñ kī adnā sī kashish
shaiḳh-sāhib aur khisak kar aa ga.e botal ke paas
nāseh-e-nādāñ kā shikva karnā hai bilkul fuzūl
vo to pāgal hai koī kyuuñ jaa.e phir pāgal ke paas
himmat-afzā.ī na jab ummāl-e-ma.amūlī ne kī
pahuñchī rishvat afsarān-e-darja-e-avval ke paas
'shauq'-sāhab mūnis-e-tanhā.ī kī hājat ho gar
to kisī din be-takalluf chaliye sevā-dil ke paas
ye KHabar aai hai aaj ek murshid-e-akmal ke pas
un ko dhamkaya kisi ne railway-signal ke pas
husn-e-awara ka ai hamdam bhala kya e'tibar
aaj bhaTnagar ke bas mein hai to kal mittal ke pas
un ki wahshat se ye zahir ho raha hai KHud-ba-KHud
ye usi mauza mein rahte hain jo hai mangal ke pas
baghban ki ab tawajjoh hai gulistan ki taraf
paude baDh ke KHud lagae hain kai kaThal ke pas
uTh gaya bazm-e-tarab se wo raqib-e-ru-siyah
rafta rafta hath jab pahuncha mera chappal ke pas
razm-gah mein un se nazren laD rahi hain bar bar
ho raha hai ek dangal aur usi dangal ke pas
log un ki bazm mein rah kar bhi hain mahrum-e-did
jaan-ba-lab hain pyas se baiThe hue hain nal ke pas
dekhiye ye baada-e-rangin ki adna si kashish
shaiKH-sahib aur khisak kar aa gae botal ke pas
naseh-e-nadan ka shikwa karna hai bilkul fuzul
wo to pagal hai koi kyun jae phir pagal ke pas
himmat-afzai na jab ummal-e-mamuli ne ki
pahunchi rishwat afsaran-e-darja-e-awwal ke pas
'shauq'-sahab munis-e-tanhai ki hajat ho gar
to kisi din be-takalluf chaliye sewa-dil ke pas
- Book : intekhab-e-kalam shauq bahraichi (Pg. 89)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.