ye KHalish hai ki mah-e-nau mah-e-kaamil na bana
ye ḳhalish hai ki mah-e-nau mah-e-kāmil na banā
dil banā bhī to tirī yaad ke qābil na banā
'umr be-‘ishq jo guzrī vo rahī be-hāsil
hech hai 'ishq agar 'umr kā hāsil na banā
kyoñ na bantā dur-e-shahvār safīna dil kā
tund maujoñ meñ rahā zīnat-e-hāsil na banā
tarz-e-raftār meñ kuchh farq to aaya lekin
sāz-e-afkār ham-āhang-e-salāsil na banā
raushnī chand maqāmāt meñ mahdūd nahīñ
'vajd' parvāz ko pāband-e-manāzil na banā
ye KHalish hai ki mah-e-nau mah-e-kaamil na bana
dil bana bhi to teri yaad ke qabil na bana
'umr be-‘ishq jo guzri wo rahi be-hasil
hech hai 'ishq agar 'umr ka hasil na bana
kyon na banta dur-e-shahwar safina dil ka
tund maujon mein raha zinat-e-hasil na bana
tarz-e-raftar mein kuchh farq to aaya lekin
saz-e-afkar ham-ahang-e-salasil na bana
raushni chand maqamat mein mahdud nahin
'wajd' parwaz ko paband-e-manazil na bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.