ye KHalwaton mein bhi sochte hain ki hum kahan se kahan hain aae
ye KHalwaton mein bhi sochte hain ki hum kahan se kahan hain aae
Rukhsana Nikhat Lari Umm-e-Hani
MORE BYRukhsana Nikhat Lari Umm-e-Hani
ye ḳhalvatoñ meñ bhī sochte haiñ ki ham kahāñ se kahāñ haiñ aa.e
ki rāh-e-manzil se kaise kaise hamesha ham ne fareb khaa.e
purāne qisse bhulā ke ham ne tumhāre va.adoñ pe aas bāñdhī
sunī haiñ ham ne bhī dāstāneñ magar kahāñ ham ne lab hilā.e
chitā jalī gar to ḳhvāhishoñ ke ga.e zamānoñ ne sar uThā.e
dil-e-hazīñ ko ye zid thī koī phir aa ke sham-e-vafā jalā.e
guzartī jaatī haiñ lambī sadiyāñ magar koī ham-suḳhan nahīñ hai
kabhī kabhī to ye ḳhāmushī bhī na jaane kyā kyā hameñ sunā.e
ye jānte haiñ ki luT chuke haiñ ka.ī dafa dil ke āstāne
magar abhī tak ham ārzūoñ kī bastiyāñ dil meñ haiñ basā.e
ye be-bahā āb-dār motī inheñ gañvāne se fā.eda kyā
agar nahīñ hai kuchh is kā hāsil to koī kyoñ ashk-e-ġham bahā.e
kabhī to iḳhfā-e-ġham kī ḳhātir bhī muskurānā paḌā hai ham ko
zamāna ab tak samajh na paayā ki ham ne kyoñ itne giit gaaye
ḳhayāl kī manziloñ se guzre gumān kī mahfileñ bhī dekhīñ
magar sitāroñ se aur aage jahāñ hai kaisā samajh na paa.e
banā hai ik ālam-e-tahayyur na.ī fazā hai nayā samāñ hai
hayāt ke ye ajiib lamhe na jaane kyā kyā payām laa.e
hujūm-e-ālām-o-ġham salāmat magar hai phir bhī koī ḳhalā sā
yahī to hai raaz zindagī kā batā.e 'hānī' to kyā batā.e
ye KHalwaton mein bhi sochte hain ki hum kahan se kahan hain aae
ki rah-e-manzil se kaise kaise hamesha hum ne fareb khae
purane qisse bhula ke hum ne tumhaare wadon pe aas bandhi
suni hain hum ne bhi dastanen magar kahan hum ne lab hilae
chita jali gar to KHwahishon ke gae zamanon ne sar uThae
dil-e-hazin ko ye zid thi koi phir aa ke sham-e-wafa jalae
guzarti jati hain lambi sadiyan magar koi ham-suKHan nahin hai
kabhi kabhi to ye KHamushi bhi na jaane kya kya hamein sunae
ye jaante hain ki luT chuke hain kai dafa dil ke aastane
magar abhi tak hum aarzuon ki bastiyan dil mein hain basae
ye be-baha aab-dar moti inhen ganwane se faeda kya
agar nahin hai kuchh is ka hasil to koi kyon ashk-e-gham bahae
kabhi to iKHfa-e-gham ki KHatir bhi muskurana paDa hai hum ko
zamana ab tak samajh na paya ki hum ne kyon itne git gaye
KHayal ki manzilon se guzre guman ki mahfilen bhi dekhin
magar sitaron se aur aage jahan hai kaisa samajh na pae
bana hai ek aalam-e-tahayyur nai faza hai naya saman hai
hayat ke ye ajib lamhe na jaane kya kya payam lae
hujum-e-alam-o-gham salamat magar hai phir bhi koi KHala sa
yahi to hai raaz zindagi ka batae 'hani' to kya batae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.