ye KHayal aata hai tanhai mein aksar mujhko

ye KHayal aata hai tanhai mein aksar mujhko
Shakeel Ibn-e-Sharaf
MORE BYShakeel Ibn-e-Sharaf
ye ḳhayāl aatā hai tanhā.ī meñ aksar mujh ko
jī rahā hogā vo kis tarh bhulā kar mujh ko
tere kūche kī sukūnat ho mayassar mujh ko
log baiThā huā dekheñ tire dar par mujh ko
un ke hamrāh maiñ jā.ūñ bhī to kaise jā.ūñ
sab nazar aate haiñ yūsuf ke barādar mujh ko
Thokareñ khā ke sañbhalne kā hunar aaya hai
kyoñ na mahbūb hoñ phir raah ke patthar mujh ko
tang-dastī thī magar log kushāda-dil the
yaad aate haiñ vo TuuTe hue chhappar mujh ko
is liye maiñ kabhī ġhāfil nahīñ hone paatā
vaqt rah rah ke lagā detā hai Thokar mujh ko
us kī rahmat hai ziyāda ki ḳhatā.eñ merī
mat dikhāo mire ā'māl kā daftar mujh ko
maiñ na so.uuñ to use niiñd kahāñ aatī hai
merī maañ sotī hai har roz sulā kar mujh ko
is liye dekh ke dushman ko akaḌ jaatā huuñ
inkisārī se samajh le na vo kamtar mujh ko
yuuñ na ho DhūñDnī paḌ jaa.e tujhe rāh-e-farār
chheḌnā bhaa.ī mire soch samajh kar mujh ko
apnī nazroñ meñ maiñ kuchh aur bhī ghaT jaatā huuñ
pesh kartā hai koī jab bhī baḌhā kar mujh ko
ho gayā aur shab-e-hijr kā kaTnā mushkil
chhup gayā chāñd tirī yaad dilā kar mujh ko
ai junūñ kaun sī manzil hai ye batlā to sahī
āsmāñ bhī nazar aatā hai zamīñ par mujh ko
ai 'shakīl' un kī galī hai tirī jāgīr nahīñ
kis liye Toktā rahtā hai tū aksar mujh ko
ye KHayal aata hai tanhai mein aksar mujh ko
ji raha hoga wo kis tarh bhula kar mujh ko
tere kuche ki sukunat ho mayassar mujh ko
log baiTha hua dekhen tere dar par mujh ko
un ke hamrah main jaun bhi to kaise jaun
sab nazar aate hain yusuf ke baradar mujh ko
Thokaren kha ke sanbhalne ka hunar aaya hai
kyon na mahbub hon phir rah ke patthar mujh ko
tang-dasti thi magar log kushada-dil the
yaad aate hain wo TuTe hue chhappar mujh ko
is liye main kabhi ghafil nahin hone pata
waqt rah rah ke laga deta hai Thokar mujh ko
us ki rahmat hai ziyaada ki KHataen meri
mat dikhao mere aa'mal ka daftar mujh ko
main na soun to use nind kahan aati hai
meri man soti hai har roz sula kar mujh ko
is liye dekh ke dushman ko akaD jata hun
inkisari se samajh le na wo kamtar mujh ko
yun na ho DhunDni paD jae tujhe rah-e-farar
chheDna bhai mere soch samajh kar mujh ko
apni nazron mein main kuchh aur bhi ghaT jata hun
pesh karta hai koi jab bhi baDha kar mujh ko
ho gaya aur shab-e-hijr ka kaTna mushkil
chhup gaya chand teri yaad dila kar mujh ko
ai junun kaun si manzil hai ye batla to sahi
aasman bhi nazar aata hai zamin par mujh ko
ai 'shakil' un ki gali hai teri jagir nahin
kis liye Tokta rahta hai tu aksar mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.