ye KHayal aur KHwab ki duniya
ye ḳhayāl aur ḳhvāb kī duniyā
aisī jaise kitāb kī duniyā
mere dil meñ haram sarā.e hai
jaise būḌhe navāb kī duniyā
muntaqil ho ke ahd-e-pīrī meñ
yaad aa.ī shabāb kī duniyā
kyā taqābul hai merī duniyā se
vo hai ālī-janāb kī duniyā
un ke ham bhī qarīb rahte haiñ
yaar ye hai gulāb kī duniyā
ab to honā hai bas amal-pairā
chhoḌ aa.e nisāb kī duniyā
duniyā-dārī nibāh dī 'rāshid'
hai azāb-o-savāb kī duniyā
ye KHayal aur KHwab ki duniya
aisi jaise kitab ki duniya
mere dil mein haram sarae hai
jaise buDhe nawab ki duniya
muntaqil ho ke ahd-e-piri mein
yaad aai shabab ki duniya
kya taqabul hai meri duniya se
wo hai aali-janab ki duniya
un ke hum bhi qarib rahte hain
yar ye hai gulab ki duniya
ab to hona hai bas amal-paira
chhoD aae nisab ki duniya
duniya-dari nibah di 'rashid'
hai azab-o-sawab ki duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.