ye KHush-fahmi bachaw ke liye hai
ye ḳhush-fahmī bachāv ke liye hai
ki dariyā bas bahāv ke liye hai
churāne duuñ kisī sūraj ko kaise
ye shabnam jo alaav ke liye hai
tirī taalī bhī koī fitna hogī
tirī thapkī bhī taav ke liye hai
be-marham hī raho ki ye namak to
hamāre apne ghaav ke liye hai
dhḌaknā bhī zarūrī na.iiñ hai is kā
na hī ye dil lagāv ke liye hai
abhī mahfūz haiñ mallāh saare
bhañvar filhāl naav ke liye hai
havā meñ ġharq hai har mauj 'sāgar'
kinārā bhī kaTāv ke liye hai
ye KHush-fahmi bachaw ke liye hai
ki dariya bas bahaw ke liye hai
churane dun kisi suraj ko kaise
ye shabnam jo alaw ke liye hai
teri tali bhi koi fitna hogi
teri thapki bhi taw ke liye hai
be-marham hi raho ki ye namak to
hamare apne ghaw ke liye hai
dhDakna bhi zaruri nain hai is ka
na hi ye dil lagaw ke liye hai
abhi mahfuz hain mallah sare
bhanwar filhaal naw ke liye hai
hawa mein gharq hai har mauj 'sagar'
kinara bhi kaTaw ke liye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.