ye KHushi gham-e-zamana ka shikar ho na jae
ye ḳhushī ġham-e-zamāna kā shikār ho na jaa.e
na milo ziyāda ham se kahīñ pyaar ho na jaa.e
jo machal rahī hai shīshe meñ hasīn hai vo shabnam
mire lab tak aate aate jo sharār ho na jaa.e
na kaTeñ akele dil se ġham-e-zindagī kī rāheñ
jo sharīk-e-fikr-e-daurāñ ġham-e-yār ho na jaa.e
na baḌhā bahut chaman se rah-o-rasm-e-āshiyāna
ki mizāj-e-bāġhbāñ par kahīñ baar ho na jaa.e
tirī taaza muskurāhaT se bhar aa.ī aañkh yaanī
kahīñ ye nishān-e-manzil bhī ġhubār ho na jaa.e
jo qarīb hai kināra to baḌhā hai aur tūfāñ
ki ye saḳht-jān kashtī kahīñ paar ho na jaa.e
isī tarah ḳhūn-e-dil se tū chaman ko sīñchtā jā
ye ḳhizāñ 'shamīm' jab tak ki bahār ho na jaa.e
ye KHushi gham-e-zamana ka shikar ho na jae
na milo ziyaada hum se kahin pyar ho na jae
jo machal rahi hai shishe mein hasin hai wo shabnam
mere lab tak aate aate jo sharar ho na jae
na kaTen akele dil se gham-e-zindagi ki rahen
jo sharik-e-fikr-e-dauran gham-e-yar ho na jae
na baDha bahut chaman se rah-o-rasm-e-ashiyana
ki mizaj-e-baghban par kahin bar ho na jae
teri taza muskurahaT se bhar aai aankh yani
kahin ye nishan-e-manzil bhi ghubar ho na jae
jo qarib hai kinara to baDha hai aur tufan
ki ye saKHt-jaan kashti kahin par ho na jae
isi tarah KHun-e-dil se tu chaman ko sinchta ja
ye KHizan 'shamim' jab tak ki bahaar ho na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.