ye KHwab jis ne dikhae the ek safar ke mujhe
ye ḳhvāb jis ne dikhā.e the ik safar ke mujhe
vo ashk de gayā āñkhoñ meñ umr bhar ke mujhe
hai fan meñ yaktā vo sayyād ho ki ho dilbar
uḌaan bharne ko kahtā hai par katar ke mujhe
kaThin thā rāsta dushvār thī har ik manzil
koī dikhā.e usī raah se guzar ke mujhe
maiñ us kī ḳhaas nazar se taḌap taḌap uTThūñ
vo itne pyaar se dekhe Thahar Thahar ke mujhe
zarā sī der Thaharne de ai ġham-e-duniyā
zarā sā dekh le vo bhī to aañkh bhar ke mujhe
mire ḳhayāl kī uljhan kahāñ sudhartī hai
gul-e-bahār ne dekhā hai phir sañvar ke mujhe
sulag rahī huuñ maiñ sāñsoñ kī tez bhaTTī meñ
pilā rahā hai vo ulfat ke jaam bhar ke mujhe
vo shahd ghol rahā hai samā.atoñ meñ mirī
bulā rahā hai koī baam se utar ke mujhe
dhaḌak rahā hai mohabbat meñ dil mirā 'afroz'
guzar rahī haiñ havā.eñ bhī pyaar kar ke mujhe
ye KHwab jis ne dikhae the ek safar ke mujhe
wo ashk de gaya aankhon mein umr bhar ke mujhe
hai fan mein yakta wo sayyaad ho ki ho dilbar
uDan bharne ko kahta hai par katar ke mujhe
kaThin tha rasta dushwar thi har ek manzil
koi dikhae usi rah se guzar ke mujhe
main us ki KHas nazar se taDap taDap uTThun
wo itne pyar se dekhe Thahar Thahar ke mujhe
zara si der Thaharne de ai gham-e-duniya
zara sa dekh le wo bhi to aankh bhar ke mujhe
mere KHayal ki uljhan kahan sudharti hai
gul-e-bahaar ne dekha hai phir sanwar ke mujhe
sulag rahi hun main sanson ki tez bhaTTi mein
pila raha hai wo ulfat ke jam bhar ke mujhe
wo shahd ghol raha hai samaaton mein meri
bula raha hai koi baam se utar ke mujhe
dhaDak raha hai mohabbat mein dil mera 'afroz'
guzar rahi hain hawaen bhi pyar kar ke mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.