ye kis aashob-e-jaan ki rahguzar hai
ye kis aashob-e-jaan ki rahguzar hai
Raja Girdhari Parsad Baqi
MORE BYRaja Girdhari Parsad Baqi
ye kis āshob-e-jāñ kī rahguzar hai
ki har naqsh-e-qadam ik chashm-e-tar hai
hamārā haal ab nau-e-digar hai
are zālim tujhe kuchh bhī ḳhabar hai
mujhe ashkoñ se rusvā.ī kā Dar hai
masal hai ghar ke bhedī se ḳhatar hai
na kyoñ jaame se ho jā.ūñ maiñ bāhar
ki aaj us but ke aane kī ḳhabar hai
habāb-āsā hai apnā dam laboñ par
koī dam meñ idhar hai yā udhar hai
vahāñ qashqa hai sandal kā jabīñ par
yahāñ hasrat ke maare dard-e-sar hai
jigar ko kar rahī hai teġh zaḳhmī
nahīñ ma.alūm ye kis kī nazar hai
janāb-e-'mīr' kā pairau huuñ 'bāqī'
mire sher-o-suḳhan meñ kyā asar hai
ye kis aashob-e-jaan ki rahguzar hai
ki har naqsh-e-qadam ek chashm-e-tar hai
hamara haal ab nau-e-digar hai
are zalim tujhe kuchh bhi KHabar hai
mujhe ashkon se ruswai ka Dar hai
masal hai ghar ke bhedi se KHatar hai
na kyon jame se ho jaun main bahar
ki aaj us but ke aane ki KHabar hai
habab-asa hai apna dam labon par
koi dam mein idhar hai ya udhar hai
wahan qashqa hai sandal ka jabin par
yahan hasrat ke mare dard-e-sar hai
jigar ko kar rahi hai tegh zaKHmi
nahin malum ye kis ki nazar hai
janab-e-'mir' ka pairau hun 'baqi'
mere sher-o-suKHan mein kya asar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.